ਪਾਕਿਸਤਾਨ ਦੇ ਇਤਿਹਾਸ ਦੇ ਰਾਜਨੀਤਿਕ ਇਤਿਹਾਸ ਤੇ ਚਾਨਣਾ ਪਾਉਂਦਾ ਇਹ ਵਿਅੰਗਾਤਮਕ ਲੇਖ ਬੇਹਦ ਦਿਲਚਸਪ ਹੈ | ਲੇਖਕ ਹਸੀਬ ਆਸਿਫ਼ ਲਾਹੌਰ ਵਿਚ ਸਾਹਿਤ ਦਾ ਸਿਖਾਂਦਰੂ ਹੈ ਅਤੇ ਇਬਲੀਸ ( ਸ਼ੈਤਾਨ ) ਨਾਮੀ ਬਲੋਗ ਦਾ ਸੰਚਾਲਕ ਹੈ | ਹਥਲੇ ਲੇਖ ਦੀ ਬੋਲੀ ਉਰਦੂ ਅਤੇ ਲਿਪੀ ਰੋਮਨ ਹੈ | - ਜਸਦੀਪ
Islami Jamhooriya Pakistan ki tareekh Hindustan se bohut purani hai. Balkay Islam se bhi purani hai. Jab aathveen sadi mein Muhammad Bin Qasim Islam phelane bar-e-sagheer tashreef laye tau ye jaan ker sharminda huwe ke yahan tau pehle hi Islami riyasat maujood hai.
Yahan kufr ka janam tau huwa Jalaaludin Akbar ke daur mein, jo Islam ku jhutla ker apna mazhab banane ko chal diya; shayid Allah-ho-Akbar ke lughwi maani le gya tha.
Baharhal, in kafiron ne butparasti aur mehkashi jaisay gheir munaasib kaam shuro kerdiye aur apne aap ko Hindu bulaane lage. Sharaab ki aamad se Pakistan ke Musalmanon ki woh taaqat na rahi jo tareekh ke tasalsul se honi chahiye thi. Iski vaja ye nahin thi ke Muslaman sharaab peene lag paray the, balkay ye kay unki saari quwat-e-nafs sharab ko naa peene mein waqf hojati thi, hukmarani ke liye bachta hi kya tha.
Is ke bawajood Musalmanon ne mazeed do sau saal Pakistan per raaj kiya, phir kuch dinon ke liye angrezon ki hakoomat agayi (hamari tafteesh ke mutabiq yehi koi chalees hazaar din honge).
San 1900 tak Pakistan ke Musalmanon ki haalat nasaaz hochuki thi. Is dauran aik ahem shakhsiat hamari khidmat mein hazir huwi, jis ka naam Allama Iqbal tha.
Iqbal ne humen dau qaumi nazariya diya. yeh inse pehle Syed Ahmed Khan ne bhi diya tha, magr inhon ne zyada diya. Is nazariye ke mutabiq Pakistan mein dau farak qaumein maujood thin, aik hukmarani ke laiq Musalman qaum, aur aik ghulami ke laiq Hindu qaum. In dono ka apas mein samjhota mumkin nahin tha.
Syed Ahmed Khan ne bhi Musalmanon ke liye anthak mehnat ki, magr beech mein angrez ke samnay sir jhuka ker Sir ka khitaab lay liya. Angrezi taleem ki wah wah kerne lage.
Bhala angrezi seekhne se kisi ko kya faida tha? Har zaroori cheez tau Urdu mein thi. Ghalib ki shairi Urdu mein thi. Mirat-ul-Uroos Urdu mein thi. Quran-e-Majeed ka tarjuma Urdu mein tha.
Angrezi mein kya tha? Urdu lughat bhi angrezi se bari thi. Purani bhi. Sahaba-e-Karam Urdu bolte the. Nabi-e-Kareem khud bhi. Aap ne aksar hadith suni hogi, “deen mein koi jabbar nahin”. Ye urdu nahin tau kya hai?
Baharhal, Iqbal se mutaasir hoker aik Gujarati barrister ne angrezon se chutkara hasil kerne ki tehreek shuro kerdi. Is tehreek ka qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
Is barrister ka naam Mohammad Ali Jinnah, urf Quaid-e-Azam, tha. Inhon ne Pakistan se aam taleem hasil kerne ke baad Bartanya se aala taleem hasil ki aur barrister ban gaye.
Quaid-e-Azam ko bhi Sir ka khitaab pesh kiya gya tha, balkay Malika Bartanya tau kehnay lagi, ke ab se aap hamaray mulk mein rahenge, balkay hamaray mehal mein rahaingay aur ham kahin keraye per gher lay lenge. Magr Quaid ki saansein tau Pakistan se wabasta theen, woh apnay mulk ko kaisay nazar andaaz kersekte the?
1934 mein Quaid wapis aye tau Pakistan ka syasi mahol badal chuka tha. Log mayoosi mein mubtala the. Udhr doosri jangay azeem shuro hone wali thi aur Gandhi Jee ne apni fahosh nang dharang mohim chala rakhi thi. Kabhi idhr kapray utaare beth jaate the, kabhi udhr.
Sath aik Nehru naami Hindu Iqbal ke dau qaumi nazariye ka ghalat matlab nikaal betha tha. Log kehte hein ke Nehru bachpan se hi alehdgi pasand tha. Gher mein alehda rehta tha, khana alehda bartan mein khata tha aur apnay khilonay bhi baqi bachon se alehda rakhta tha.
Nehru ka Quaid-e-Azam ke sath waisay bhi muqaabla tha. Parhai likhai mein, syasat mein, mohallay ki larkian taarne mein; zahir hai jeet humesha Quaid ki hoti thi. Law ke parchon mein bhi unke Nehru se ziada number the, marnay mein bhi pehal unhon ne hi kee.
Azaadi kareeb thi, Musalmanon ka khwaab sacha hone wala tha, phir Nehru ne apna patta khela. Kehne laga ke Hinduon ko alag mulk chahiye. Ye sila diya unhon ne us qaum ka, jis ne unhe janam diya, paal pos ker bara kiya; hamari billi hamay hi bhao?
Nehru ki saazish ke bais jab 14 August 1947 ko angrez yahan se lot ker gaye tau Pakistan ke do hissay ker gaye.
Alehdgi ke forun baad Hindustan ne Kashmir per qabze ka elaan kerdiya. Dono mulkon ke patwari feetay lay ker pohunch gaye. Hamsaye mumaalik fitrat se majboor tamasha dekhne pohunch gya. Khoob tu tu mein mein huwi. Golian chaleen. Bohut sare insaan zakhmi huwe. Kuch fauji bhi.
Phir Hinduon ne aik aur bari sazish ye ki, ke Pakistan se jatay huwe hamaare dau teen darya bhi sath le gaye. Ye poochna bhi gavara nahin kiya ke bhai, chahiyen tau nahin? Kapray waghera dho liye? Bhenson ne naha liya?
Ye muamlaat abhi tak nahin suljhe, is liye in per mazeed baat kerna bekaar hai. Tareekh sirf woh hoti hai jo sulajh chuki ho, ya kamazkam daffan hochuki ho. Jis tarha ke Quad-e-Azam azaadi ke doosre saal mein hogaye.
Woh us saal waisay hi kuch aleel the, aur kyunke qaum ki bharpoor duaaen unke sath theen, isliye jald hi vafaat pagaye.
Jinnah ki vafaat ke baad bohut saray logon ne Quaid banne ki koshish ki. In men pehle Liaqat Ali Khan the. Kyunke Khan Sahab aleel nahin horahay the (aur unko teen saal ka mauqa diya gya tha is asaan mashq ke liye) lehaza unko 1951 mein khud hi maarna para.
Phir aye Khwaja Nazimuddin. Ab naam ka nazim ho aur ohde ka vazeer, ye baat kisko lubhaati hai. Is liye chand hi arsay mein Governor-General Ghulam Mohammaded ne inki chutti keraa di.
Jee han, Pakistan mein us waqt Sadar ki bajaye ‘Governor-General’ hota tha. Anay wale saalon mein ikhtisaar ki munaasibat se ye sirf General reh gya. Governor ghaib hogya.
General ka ohda Pakistan ka sab se bara syasi ohda hai. Uske baad Colonel, Major waghera aate hein. Akhir mein vazeer musheer ati hein.
Pakistan ki azaadi ke kai saalon tak koi hamay ayin na de paya. Phir jab Iskander Mirza ne ayin nafiz kiya tau us mein Gernailon ko apna muqaam pasand nahin aya. Ayin aur Iskander Mirza ko aik sath utha ker pheink diya gya.
Field Marshal Ayub Khan ne hakoomat sambhaal lee. Larkhara rahi thi, kisi ne tau sambhaalni thi. Is faislay ka qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbaal kiya.
Ayub Khan jamhooriat ko bayhaal kerne, hamara matlab hai, bahaal kerne aya tha. Asal mein jamhooriat qaum ki shirkat se nahin mazboot hoti, imaarton aur deewaron ki tarha cement se mazboot hoti he. Fauji Cement se. Jee han, aap bhi apni jamhooriat ke liye Fauji Cement ka aj hi intikhab keren.
Is mauqay per sha’ir na kya khoob kaha hai, “Fauji Cement: paidaar, lazatdaar, alamdaar.”
Ayub Khan ne apnay daur mein kuch makholya election keraye taaqay log achi tarha vote daalna seekh len, aur jab asal electionon ki baari aye tau koi ghalati na ho. Magr jab 1970 ke election huwe tau logon ne phir ghalati kerdi, aik fitnay ko vote daal diye, is per agay tafseel mein baat hogi.
Waisay Ayub Khan ka daur taraqqi ka daur bhi tha. Unhon ne daava kiya tha ke woh pakistan ko Manzil-e-Maqsood tak pohnchayenge. Maqsood kaun tha aur kis manzil mein rehta tha, ye ham nahin jaante, magr is elaan ka qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
1965 mein Hindustan ne hamari malkiyat mein dubara taang arayi. Jang ka bhi elaan kerdiya. Lekin bayimaan hone ka poora saboot diya, hamein Kashmir ka keh ker khud Lahore pohnch gaye. Hamari fauj vaadion mein thand se bayhaal hogayi, aur yeh idhr Shalimar Bagh ke seirein kerte rahe.
Is daghaybaazi ke khilaf Ayub Khan ne Aqwam-e-Mutahhida ko shikayat lagayi. Woh khafa huwe aur Hindustan ko aik konay mein haath ooper kerke kharay hone ki saza mili, jaise ke milni chahiye thi. Is faislay ka bhi qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
Magr Hindu woh, jo baaz na aye. 1971 mein jab ham sab ko ilm huwa ke Bangaali bhi darasal Pakistan ka hissa hein, tau Hindu udhr bhi hamla aavar hogaye.
Ab ap khud batayen, itni door ja ker jang larna kis ko bhaata hai? Ham ne chand hazaar fauji bhej diye, itna keh ker, ke agr dil kere tau larr lena, waisay majboori koi nahin hai.
Magr Hinduon ko khaloos kaun sikhaye; unhon ne na sirf hamare faujion ke sath badtameezi ki balkay unhein kai saal tak wapis bhi nahin anay diya. Bangaal bhi hamare se juda kerdiya aur tashaddud ke sachay ilzamaat bhi lagaye. Akhir sacha ilzaam jhoote ilzaam se ziada khatarnak hota hai, kyunke woh saabit bhi hosakta hai.
Iske baad dunya mein hamari kaafi badnaami huwi. Log yahan ana pasand nahin kerte the. Balkay hamaray hamsaye mumaalik bhi kisi doosre bar-e-azam mein jaga talash kerne lage, ke in ke paas tau rehna hi fazool hai.
Aise mauke per hamein aik mustaqil mizaaaj aur daanishvar leader ki zaroorat thi, magr hamare naseeb mein Zulfikar Ali Bhutto tha. Jee han, wohi fitna jiska kuch deir pehle zikar huwa tha.
Bhutto aik choti soch ka chota admi tha. Uske khyal mein Musalmanon ki taqdeer roti, kapray aur makaan tak mehdood thi. Uske Pakistan mein mahlon aur takhton aur shehanshahi ki jaga nahin thi, hamari apni tareekh se marhoom kerdena chahta tha hamein.
Bhutto se pehle ham Roos se istimaal shuda hathyar mangaate hote the. Bhutto ne Roos se istimaal shuda nazariya bhi manga liya. Lekin istimaal shuda cheezein kam hi chalti hein, na kabhi woh hathyar chalay, naa nazariya.
Tamaam sanat zabt kerke sarkari khatay mein daal dee gayi. Sarmayakaari ki khoob aatma roli gayi, usko majaazi taur per dafna ker uski majaazi qabr per majaazi mujre kiye gaye.
Logon se unki zameenein cheen lee gayin, woh zameenein bhi jo unhon ne kisi aur ke naam likhwai huwi theen. Yeh zulmat nahin tau kya hai?
Ye Pakistan ki tareekh ka sab se tashvish naaq marhala tha. Aise mein qaumi salaamti ke liye agay barhay Hazrat General Zia-ul-Haq (Rehmatullah Aleh).
Unho ne Bhutto se hakoomat cheen li aur us per qaatil aur mulk dushman hone ke ilzamat laga diye.
Zia-ul-Haq ne qanoon ka ehtraam kerte huwe Bhutto ko adalat ka waqt zaya nahin kerne diya. Bus ilzaam ki bina per hi faisla le liya aur Bhutto ko phansi dilwa di. Is harkat ka qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
Hazrat Zia-ul-Haq Pakistanion ke liye aik namoona the, hamara matlab hai, misaali namoona. Unhon ne yahan shariat ka taaruf keraya. Hadd ke qawaneen lagaye. Nashabandi kerayi. Is iqdaam ka qaum ne hosh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
Un ke daur mein hamari fauj-al-azeem ne Roos per jangi fatah hasil ki. Roos Afghanistan mein jang larnay aya tha, usnay socha hoga ke yahan Afghanion se larayi hogi. Yeh uski khehmkhayali thi.
Is mauqe per shair ne khoob kaha he, “Tera joota hai Japani, ye bandooq Inglistaani, sir pe laal topi Roosi phir bhi jeet gaye Pakistani.”
Akhir afsos ke Islam ke is mujahid ke khilaf baahri taqatein saazish ker rehin theen. 1987 mein Yahood-o-Nasara ne inke jahaz mein se engine nikaal ker paani ka nalka laga diya. Is liyay parwaz ke duraan asmaan se gir para, aur toot ke choor hogya. Zia-ul-Haq bhi toot ke choor hogaye, aur Pakistan tootay bagheir choor hogya, kyunke hakoomat mein wapis agya Bhutto khandan.
Jaisa baap, waisi beti. Ikhtiyar mein aate hi Benazir ne is mulk ko woh loota, woh khaya, ke jo log Zia-ul-Haq ke daur mein bunglon mein rehaish pazeer thay, ab sarkon per rulnay lage.
Jald hi Benazir ko hakoomat se dhakel diya gya aur uski jaga bitha diya gya Mian Mohammad Nawaz Sharif ko. Lekin Mian Sahab zyada deir nahin beth sake, unhon ne agay kahin jaana tha shayid, aur kuch arsay baad Benazir wapis agayi. Benazir ka doosra daur-e-hakoomat mulk ke liye aur bura sabit huwa. Per ye abhi sabit ho hi raha tha ke unki hakoomat ko phir se khatam kerdiya gya. Aik martaba dobara Nawaz Sharif ko le aya gya. Is kutkhaanay ka qaum ne josh aur valvalay ke sath istiqbal kiya.
Han, Nawaz Sharif ne is dauran aik acha kaam zaroor kiya. Woh hamein atomi hathyaar de gya. Iske hote huwe hamein koi kuch nahin keh sakta tha. Iske balbotay per ham Dilli se le ker Dilli ka ird gird kuch bastion tak, kahin bhi hamlaa kersekte the. Agr aapko bhi log baatein banate hein, tang kerte hein; gher per, kaam per; tau atomi hathyaar bana lijiye. Khud hi baaz ajayenge.
Magr ye baat Amreeca ko pasand nahin ayi aur Nawaz Sharif unke sath woh taluqqaat na rakh paya jo ke aik Islami riyasat ke hone chahiyen (maslan Saudia weghera). Ooper se Mian Sahab ne Kargil operation ki bhi mukhalifat ki, halanke hamare se qasm uthwa lein jo Mian Sahab ko pata ho Kargil hay kahan.
Is buzdili ka saamna kerne aur Pakistan ko raah-e-raast per laane ka bojh ab aik aur General, Pervez Musharraf ke galay para. Aur woh is azmaish per poora utre. Unho ne aate sath qaum ka dil aur khazana loot liya.
Pervez Musharraf ka daur bhi taraqqi ka daur tha. Mulk mein bahir se bohut saara paisa aya, khaaskar Amreeka se.
Amreeka ko kisi Osama naami aadmi ki talash thi. Hum ne forun unhay dawat dee ke Pakistan aker dhoond len, yahan har doosre admi ka naam Osama hai. Musharraf Sahab ka apna naam Osama parte parte reh gya tha.
Musharraf Sahab ka daur insaaf ka daur tha. Koi nahin kehta tha ke insaaf nahin mil raha, blakay kehte the, ke itna insaaf mil raha hai ke samajh nahin ati is ke sath keren kya.
Magr unke khilaf bhi saazishi karwai shuro thi. Aik bhenge judge ne shor daal diya ke inhon ne qaum ke sath zyadti ki hai. Qaum bhi inki baaton mein aker samajhne lagi ke uske sath zyadti huwi hai.
Laug Musharraf ko kehne lagay ke verdi utaar do. Ab bhala ye kaisi nazayba darkhwaast hai. Waisy bhi verdi tau woh roz utaarte the, akhir verdi mein sotay tau nahin the.
Magr log mutmayin nahin huwe, verdi utaarni pari. Taakat chorni pari. Aam intikhabaat ka elaan kerna para.
Benazir Bhutto sahiba mulk wapis ayin lekin sehat theek na hone ke bais woh apne ooper jaan leva hamla nahin bardasht ker payin. Syasat mein jaan leva hamlay tau hote rehte hein, Musharraf sahab ne khud bohut jheelay, abhi tak zinda hein, yehi unki leadri ka saboot hai.
Phir bhi in intikhibaat mein jeet People’s Party ki hi huwi. Benazir ki bevaa, Asif Ali Zardari ko Sadar muntakhib kerdiya gya. Is se Party mein badla kuch nahin, farak itna para ke Benazir sirf baap ki tasveer laga ker taqreeb kerti thi, Zardari ko dau tasveerein lagani parti hein.
Ab Pakistan ke halaat phir bigarte ja rahay hein. Bijli nahin hai, gas nahin hai, aman-o-imaan nahin hai, iqitidar mein lootere bethe huwe hein, fauj phir se muntazir he ke kab awam pukaare aur kab woh aker muashre ki islaah keren.
Achay khaasay lagay huwe Martial Law ke darmyan jab jamhooriat nafiz hojati hai tau tamam nizam ulta seedha hojata hai. Pichli Islaah ka koi faida nahin rehta. Naye Siray se islaah kerni parti hai.
Abhi kuch hi roz pehle hi Sadar Zardari dil ke dauray per mulk se bahir gaye the. Peeche se sabiq-cricketer Imran Khan jalsay pe jalsa ker reha hai. Log kehte hein Imran Khan fauj ke sath mil ker hakoomat ko hatana chahta hai. Logon ke mooh mein ghee shakkar.
Sha’ir ne bhi Imran Khan ke baare mein kya khoob kaha hai, “Jab bhi koi verdi dekhun mera dil deewana bole, ole, ole, ole.” Umeed rakhen, jaisa log kehte hein waisa hi ho.
Aur is ke sath hamaray mazmoom ka waqt khatam huwa chahta hai. Hamein yaqeen hai is baat ka qaum josh aur valvalay ke sath istiqbal keraygi.
(Haseeb Asif is a student of literature in Lahore. He tweets as @haseebasif and blogs at Iblees. )
Courtesy Kafila
No comments:
Post a Comment